img
March 04, 2021 9.3 K

Tajdar E Haram Naat MP3 Download By Owais Raza Qadri

Click Here To Download MP3

Tajdar E Haram Naat MP3 Download By Owais Raza Qadri. Tajdar E Haram Beautiful Naat MP3 Download By Owais Raza Qadri in best audio quality.

Lyrics

Qismat main meri chain say jeena likh day
Doobe na kabhi mera safeena likh day

Jannat bhi gawaara hai magar meray liye
Ae kaatib e taqdeer Madina likh day

Tajdar e Haram Ho Nigahe Karam
Hum ghareebon ke din bhi sanwar jayen gy
Tajdar e Haram ho nigaah e karam
Hum ghareebon ke din bhi sanwar jayen gy

Hami e bekasa(n) kya kahega jaha

Aap ke dar se khaali agar jayen gy
Tajdar e Haram ho nigaah e karam
Hum ghareebon ke din bhi sanwar jayen gy

Koi apna nahi, gham ke maaray hain hum
Aap ke dar pe faryaad laey hain hum
Ho nigaah e karam warna chokhat pe hum
Aap ka naam le leke mar jayen gy

Kya tum se kahu(n) ae Arab ke kunwar
Tum jaante ho man ki batiyaa(n)
Daar e furqat to ae Ummi laqab
Kaate na kate hain ab ratiyaa(n)
Tori preet main sudh budh sab bisri
Kab tak ye rahegi be khabri
Gaahe bafgan dar zeeda nazar
Kabhi sun bhi to lo hamari batiya(n)

Aap ke dar se koi na khaali gaya
Apne daman ko bhar ke sawaali gaya
Ho Habeeb e Hazee(n) par bhi Aaqa nazar warna
Auraaq e hasti bikhar jayengy
Tajdar e Haram, Tajdar e Haram

Me-kasho aao aao Madinay chalen
Aao Madine chalen, Aao Madine chalen
Isi maheenay chalen Aao Madine chalen
Tajalliyon ki ajab hai fizaa Madine main
Nigaah e shouq ki hai intihaa Madine main
Gham e hayat na khouf e qaza Madine main
Namaz e ishq karengay ada Madine main
Baraherast hai raah e Khuda Madine main
Aao Madinay chalen, Aao Madine chalen
Isi maheenay chalen Aao Madine chalen

Me-kasho aao aao Madinay chalen
Dast e Saqi e Kausar se peenay chalen
Yaad rakho agar uth gayi ik nazar
Jitne khaali hain sab jaam bhar jayen gy
Tajdar e Haram, Tajdar e Haram

Khauf e toofan hai bijliyo(n) ka hai darr
Sakht mushkil hai Aaqa kidhar jaein hum
Aap hi gar na lein gy hamari khabar
Hum museebat ke maaray kidhar jaeingy
Tajdar e Haram, Tajdar e Haram

Ya Mustafa, Ya Mujtaba, Irham lana Irham lana
Daste hama be-chara ra, Dama(n) toi Dama(n) toi
Man aasium Man aajizam Man bekasam, Haal mera
Parsaa toi, Parsaa toi
Ae mushk baed zumbar fishaa
Paik e Naseem e subha dam
Ae charagar, Eesa nafas
Ae monis e beemar e gham
Ae qaasid e furkhanda pe
Tujh ko usi gul ki qasam
Innal Tiyaari Hassaba
Youman ilaa Ardil Haram
Balligh Salami Rozatan
Feehan Nabiyyil Mohtaram

Tajdar e Haram Ho Nigahe Karam
Hum ghareebon ke din bhi sanwar jayen gy
Hami e bekasa kya kahe ga jaha
Aap ke dar se khaali agar jayen gy
Tajdar e Haram, Tajdar e Haram...