img
June 28, 2020 963

Naimatain Banta Jis Simt Woh Naat MP3 Download By Fasihuddin Soharwardi

Click Here To Download MP3

naimatain banta jis simt wo zeeshan gaya Naat MP3 Download By Fasihuddin Soharwardi. Naat audio,naat mp3,naat free mp3,audio naat download,free mp3 naats,lattest naat aaudio naat download,naat mp3 download,naat sharif.

Lyrics

Ne’amatein baant ta jis simt woh zeeshaan gaya,
Saath hi munshiaey rehmat ka qalam daan gaya

Naimatin Banta Jis Samat

Le khabar jald ke ghairon ki taraf dhiyaan gaya
Mere Maula mere Aqa tere qurbaan gaya

Dil hai woh dil jo teri yaad say ma’moor raha
Sar hai woh sar jo tere Qadmon pe qurbaan gaya

Unhein jana unhein mana na rakhha ghair se kaam
Lillah Al Hamd main duniya se Musalmaan gaya

Jaan o dil hosh wa khirad sab to Madinay pahonche
Tum nahi chalte Raza sara to samaan gaya

Aah woh aankh ke nakaame tamanna hi rahi
Hai woh dil jo tere dar se pur arman gaya

Aur tum par mere Aqa ki Inayat na sahi
Najdiyo! Kalmah padhane ka bhi ehsaan gaya

Aaj le unki Panah aaj madad maang unse
Phir na maanege Qayamat mein agar maan gaya

Uff ray munkar yeh badha joshe ta’assub akhir
Bheed me haath se kam bakht ke Imaan gaya.