img
October 01, 2020 541

Ek Roz Hoga Jana Sarkar Ki Gali Mein Naat MP3

Click Here To Download MP3

Ek Roz Hoga Jana Sarkar Ki Gali Mein Naat MP3 Download. Download Hafiz Ahmed Raza Qadri naat audios,naat sharif,naat lyrics,naat mp3,bayan audio,bayan,bayan mp3,tilawat mp3.

Lyrics

Ek Roz Hoga Jana Sarkar Ki Gali Mein
Hoga kabhi thikana Sarkar ki gali mein

Aankhe toh dekhne ko pehle hi mujhtarib thi
Dil bhi hua ravana Sarkar ki gali mei

Kabhi ho hasi tasawwur kabhi khud jau chalkar
Rahe yu hi aana jana Sarkar ki gali mei

Dil me nabi ki yaade lab par nabi ki naate
Jaana toh aise jana Sarkar ki gali mei

Go paas kuch nahi hai lekin yeh dekh lega
Ek din hame jamana Sarkar ki gali mei

Kabhi ho Khiza pe pehre kabhi do ghadi bahare
Mausam sada suhana sarkar ki gali mei

Samajhenge hum niyazi unki karam nawazi
Jis roz hoga jana sarkar ki gali mei

Ek Roz Hoga Jana Sarkar Ki Gali Mein
Hoga kabhi thikana Sarkar ki gali mein..