img
December 07, 2020 868

Chalo Diyar e Nabi Ki Janib Naat MP3 Download By By Rao Ali Hasnain

Click Here To Download MP3

Chalo Diyar e Nabi Ki Janib Naat MP3 Download By By Rao Ali Hasnain. Chalo Diyar e Nabi Ki Janib Durood Lab Par Saja Saja Kar Naat MP3 Download By Rao Ali Hasnain in best audio quality.

Lyrics

Chalo diyaar-e-nabi ki janib
Durood lab par saja saja kar,
Baharain lutainge hum karam ki
Dilon ko daman bana bana kar

Na unke jaisa sakhi hai koi
Na unke jaisa ghani hai koi,
Wo be-nawa-o ko har jaga se
Nawaazte hain bula bula kar

Main wo nikamma hoon jiski jholi
Main koi husn-e-amal nahi hai,
Magar wo ehsaan kar rahe hain
Khata-ain meri chupa chupa kar

Hai unku ummat se pyar kitna
Karam hai rahmat shi'aar kitna,
Hamaare jurmon ko dho rahe hain
Wo apne aansu baha baha kar

Yahi asaas-e-amal hai meri
Issi se bigdi bani hai meri,
Samett-ta hoonn karam khuda ka
Nabi ki naatain suna suna kar

Wo raahain ab tak saji hui hain
Dilon ka kaaba bani hui hain,
Jahan jahaan se Huzoor guzre
Hain naqsh apna jama jama kar

Agar muqaddar ne yaawri ki
Agar madine gaya main Khaalid,
Qadam qadam khaak us gali ki
Mein chum lunga utha utha kar...